Koi deewana kehta hain
koi pagal samjhta hain
magar dharti ki bechani ko
bas badal samjhta hain
Koi deewana kehta hain
koi pagal samjhta hain
magar dharti ki bechani ko
bas badal samjhta hain
Main tujhse dur kaisa hu,
tu mujhse dur kaisi hain
Yeh tera dil samjhta hain
ya mera dil samjhta hain
****************
mohobbat ek ehsaason ki
paawan si kahaani hain
kabhi kabira deewana tha
kabhi meera diwaani hain
Yahaan sab log kehte hain
meri aakho mein aasu hain
Jo tu samjhe toh moti hain
jo na samjhe toh paani hain
***************
Samandar peer ka andar hain
lekin ro nahi sakta
Yeh aasu pyaar ka moti hain
isko kho nahi sakta
Meri chahat ko dulhan tu
bana lena magar sun le
Jo mera ho nahi paaya
woh tera ho nahi sakta
*************
Bhramar koi kumudni par
machal baitha toh hungama
Humare dil mein koi khwaab
pal baitha toh hungama
Abhi tak doob kar sunte the
sab kissa mohobbat ka
Main kisse ko hakikat mein
badal baitha toh hungama
*************
Koi deewana kehta hain
koi pagal samjhta hain
magar dharti ki bechani ko
bas badal samjhta hain.......