tu mera kya laage
o saathiya
tu mera kya laage
o saathiya
laage na laage re
tere bin kahin jiyaa
tu mera kya laage
o saathiya
laage na laage re
tere bin kahin jiyaa
mar jaate raahon mein
hum teri baahon mein
aake jee gaye
zulfon ke saaye mein
hum dil ke saare ghum
hans ke pee gaye
mar jaate raahon mein
hum teri baahon mein
aake jee gaye
zulfon ke saaye mein
hum dil ke saare ghum
hans ke pee gaye
tune hi phir jeena
sikhlaa diya
laage na laage re
tere bin kahin jiyaa
din beete baaton mein
baaton ki yaadon mein
jhoome dil jawaan
raaton ki neendon mein
neednon ke khawaabon mein
tu hi tu yahaan
din beete baaton mein
baaton ki yaadon mein
jhoome dil jawaan
raaton ki neendon mein
neednon ke khawaabon mein
tu hi tu yahaan
bin poochhe bin maange
dil le liya
laage na laage re
tere bin kahin jiyaa
jis din se dekha hai
bas tujhko dekha hai
tujh mein kho gaye
hum bhi ye na jaane
hum tere deewane
kaise ho gaye
jis din se dekha hai
bas tujhko dekha hai
tujh mein kho gaye
hum bhi ye na jaane
hum tere deewane
kaise ho gaye
tune to milte hi
dil chhoo liya
laage na laage re
tere bin kahin jiyaa
tu mera kya laage
o saathiya
tu mera kya laage
o saathiya