Zara dekh sanam mera jazba-e-dil
Mujhe aaj kahan tak le aaya
Zara dekh sanam mera jazba-e-dil
Mujhe aaj kahan tak le aaya
Jahan aake main khud ko bhool gayi
Tera pyar wahan tak le aaya
Zara dekh sanam mera jazba-e-dil
Tu paas rahe phir kya gham hai
Har saans khushi ki sargam hai
Ho chhedne wale pyaar ki dhun
Ehsaan tera yeh kya kam hai
Ehsaan tera yeh kya kam hai
Jo geet chhupe the dil mein mere
Unhein meri zubaan tak le aaya
Zara dekh sanam mera jazba-e-dil
Yeh thandi hawayein lehrati
Rangeen fazayein madmaati
Yeh thandi hawayein lehrati
Rangeen fazayein madmaati
Main pyaar ki tere deewani
Manzil pe akeli kya aati
Manzil pe akeli kya aati
Mera dard-e-mohabbat tujhko bhi
Mere sath yahan tak le aaya
Zara dekh sanam mera jazba-e-dil
Mujhe aaj kahaan tak le aaya
Zara dekh sanam mera jazba-e-dil