Ek Husn Ki Devi Se mujhe
Piyar Hua Tha hai
Piyar Hua Tha
Dil Us Ki Muhabbat MEIN
Giriftaar Hua tha
Ek Husn KI Devi Se mujhe
Piyar Hua Tha hai
Piyar Hua Tha
Wo Roop Ke Jis Roop Se
Kaliyan Bhi Lajaayein
Wo Roop Hai..Hai
Wo Zulf Ke Jis Zulf Se
Sharmaaye Ghataayein
Maikhaane Nighahon mein
Adaaon ke Taraane
De Dale Mujhe usne
Muhabat Ke Khazane
Haan Aisi Hi Ek Raat Thi
Haan Aisi Hi Ek Raat Thi
Aisa Hi Sama Tha
Ye Chand Bhi Poora Tha
Zamana Bhi Jawaan Tha
Ek Ped Ke Saye Mein
Jab Iqraar Hua Tha
Ek Husn Ki Devi Se mujhe
Piyar Hua Tha hai
Piyar Hua Tha
Kashmeer Ki Wadi Ke wo
Pur Kaif Nazaare
Kashmeeeer Hai..Hai
Lamhat Muhabat Ke
Jahan Hum Ne Guzaare
Angdayan Lekar Mere
Bahon Ke Sahaare
Gulnar Nazar Aati thi
wo Sharm Ke Maare
Yak Tarfa Nathe
Husn o Muhabat Ke Isahare
Us Ne Bhi Kayi Baar Mere
Baal Sanwaare
Ehsaas Ka Jazbaat Ka
Izhaar Hua Tha
Ek Husn Ki Devi Se mujhe
Piyar Hua Tha hai
Piyar Hua Tha
Kuch Roz Kate Yun Bhi
Bura Waqt Jab Aaya
Kuch Roz Hai..Hai
Kuch Roz Kate Yun Bhi Bura
Waqt Jab Aaya
Us Husn Ki Devi Ne Bhi
Nazron Ko Phiraya
Ghurbat Ne Zamane Ki
Nigahon se Giraya
Aanchal Mere Hathon Se
Muhabat Ne Chhudaaya
Ek Raat Ko Us ne Mujhey
Sota hua Chhoda
Chaldi wo Kahin Piyaar ko
Rota Hua Chhoda
Soya Hua Main Neend se
jaaga Jo Savere
Wo Jab Na Mili Chha gaye
Aankhoon mein Andhere
Taqdeer Kisi Ko bhi bure
Din Na Dikhaaye
Hote Hein Bure Waqt Mein
Apne Bhi Paraaye
Kiya Piyaar Bhi Daulat ka
Talabgaar Hua Tha
Ek Husn Ki Devi Se Mujhe
Piyar Hua Tha hai
Piyar Hua Tha
Dil Us Ki Muhabbat Mein
Giriftaar Hua tha
Ek Husn Ki Devi Se Mujhe
Piyar Hua Tha hai
Piyar Hua Tha