menu-iconlogo
logo

Shikwa Na Kar Gila Na Kar

logo
بول

Shikwa na kar gila na kar,

ye duniya hai pyaare

yahan gham ke maare,tadapte rahe

Shikwa na kar gila na kar

ye duniya hei pyaare,

yahan gham ke maare tadapte rahe

Shikwa na kar gila na kar..

Mehdi Hasan

Khizaan is gulistaan mein aati rahi hai,

Hawa sookhe patte udaati rahi hai

Yahan phool khilke bahaaron se milke

bichhadte rahe

Shikwa na kar gila na kar..

Yahan tere ashkon ki qeemat nahi hai

Rehem karna duniya ki aadat nahi hai

Kisi ne na dekha yahan khoon ke aansoon

dhalakte rahe

Shikwa na kar gila na kar..

Yahan ka hai dastuur,khamosh rehna

Jo guzri hai dil pe kisi se na kehna

Ye din kaat hans ke yahan log bas ke

ujadte rahe

Shikwa na kar gila na kar

Ye duniya hei pyaare yahan gham ke maare

Tadapte rahe..

Shikwa na kar gilaa na kar..

ST

Shikwa Na Kar Gila Na Kar بذریعہ Mehedi Hassan - بول اور کور