Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka qarar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main woh ek mushth e ghubaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na to main kisi ka habeeb hoon
Na to main kisi ka raqeeb hoon
Jo bigad gaya woh naseeb hoon
Jo ujad gaya woh dayaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Mera rang roop bigad gaya
Mera yaar muhjse bichad gaya
Jo chaman khizaan se ujad gaya
Main usi ki fasl e bahar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Pay faatiha koyi aaye kyon
Koyi chaar phool chadaye kyon
Koyi aake shama jalaye kyon
Main woh be kasi ka mazaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka karar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main woh ek musth e gubaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon