insaan hanse ya roye
jo hona hai so hoye
insaan hanse ya roye
jo hona hai so hoye
kya hona hai kab hona hai
likhne waala jane
kahanii
kahani kismat ki
man hi man nadaan zamana
samjhe ke tadbeer badi hai
ye na soche kadam kadam par
raste mein taqdeer khadi hai
haar hai kiski jeet hai kiski
likhne waala jane
kahanii
kahani kismat ki
kabhi arsh hai kabhi farsh hai
duniya ki ye reet purani
kahin pe saragam kahin pe matam
har ik shai hai aani jani
kyun sukh dukh ke mausam badle
likhne waala jane
kahanii
kahani kismat ki
jeewan ke jitne din honge
usmein ik din kam na hoga
usmein ik din kam na hoga
jisne raaz ye jaan liya hai
phir usko koi ghum naa hoga
phir usko koi ghum naa hoga
kab tak laga rahe yeh mela
likhne waala jane
kahanii
kahani kismat ki
ooooo
hote hote bhi anhoni
baat koi aisi ho jaye
manzil par raahi jab pahunche
dekhe to manzil kho jaye
abhi haqikat abhi hai sapna
likhne waala jane
kahanii
kahani kismat ki
hoo kahani kismat ki