Ya Ali, Ya Hussain x3
Awaaz e Muhammad ka asar khatam na hoga x2
Thak jayega suraj yeh safar khatam na hoga.
Ya Ali, Ya Hussain x3
La raib pay Rasool ki dono hain zebo zen
Pehlu mein Ya Ali hai, to
godi mein Ya Hussain
Godi mein Ya Hussain!
Loho qalam ka ilm ka sadiq hai Ya Ali
Jab tak Khuda ka mulk hai malik hai Ya Hussain
Malik hai Ya Hussain!
Yeh ilm ka dar sabr ka ghar khatam na hoga.
Thak jayega suraj yeh safar khatam na hoga x2
Ye saltanat e ishq hai khuddar milengay
Salmano Abuzar say wafaadar milenge
Wafaadar milenge!
Ashiq yahan Mesum say jigar taar milenge
Jinay kay liye marnay pay tayyar milengay
Tayyar milengay!
Kat jaye zaban ishq magar khatam na hoga
Thak jaayega suraj ye safar khatam na hoga x2
Muslim bin e Aqeel safeer e Hussain hai
Hub e Ali hai dil mein masheer e Hussain hai
Masheer e Hussain hai!
Woh badshah aur yeh wazeer e Hussain hai
Aisa wazeer hai kay faqeer e Hussain hai
Faqeer e Hussain hai!
Ta hashr sifarat ka safar khatam na hoga.
Thak jaayega suraj yeh safar khatam na hoga
Ya Ali, Ya Hussain x3
Hur ko sakhi Hussain nay aali bana diya
Aisa ke panjatan ka sawaali bana diya
Sawaali bana diya!
Nad e Ali nay isko jalali bana diya
Rumal e Fatima nay misali bana diya
Misali bana diya!
Yeh dar hai ata’aon ka yeh dar khatam na hoga.
Thak jaayega suraj ye safar khatam na hoga x2
Aie meray Rabb e Jahaan
Aie Muhammad kay Khuda
Yeh Tera ishq hee tha
Jis ki parwaaz juda
Yeh Tera ishq hee tha x2
Panjatan say jo mila
Ishq ka tere e safar
Ishq Haidar mein mila
Kabhi Mesum, Kabhi Miqdad o Abuzar main mila
Kabhi Salman kay dil mein, kabhi Qambar me mila
Aur maqtal main jo dekha to bahattar mein mila
Laike ishq he Tu, Tera jalwa har su x2
Ay mere Rab e jahaan
Ay Mohammad ke Khuda
Ishq tunay bhi diya
Aur Muhammad Tera
Jiski chahat kay liye
Yeh jahaan khalq kiya
Woh tera ishq hi tha x3
Aie meray Rabb e jahan x2
Ik ajab ishq huwa
Woh sare karbobala
Tera aashiq hai khara
Khoon mein duba huwa
Day chuka lakhtay jigar
Day chukka noor e nazar
De chukka sara woh ghar
Aur khanjar ke talay
Uska sajday mein hay sir
Na namazi aisi, na ashiq ka kaleja aisa
Noke neza pe bhi karta hee raha zikr Tera
Ya Ali, Ya Hussain x3
Eik zulfiqaar khalq main do haath say chali
Dast e Hussain o panjae mushkil kusha Ali
Yeh Mustafa ki jaan woh Allah ka wali
Dono ka martaba bhi do alam pe he jail
Dono ka is kamaal se sajda ada huwa
Haider se ibteda huwi ya khatima huwa
Ya Ali, Ya Hussain x3
Hai waqt e asr marziye parwardigar hai
Aab pushte zuljana pe maula sawaar hai
Pehlu mein khun roti huwi zulfiqaar hai
Hum rah zuljanah bhi bohot dil figaar he
Qurban zuljanah pe aur zulfiqar par
Chalte thay dono marziye parwardigar par
Ya Ali, Ya Hussain x3
Jaisi woh zulfiqaar thi waisa tha zuljanah
Bachpan say saath saath hee rehta tha zuljanah
Bay misl o bay nazir tha aala tha zuljanah
Kyun kar na ho Rasool nay pala tha zuljanah
Pehla sawaar to nabiye kirdigaar hai
Aur doosra ye doshe nabi ka sawaar hai
Ya Ali, Ya Hussain x3
Jite thi jab bhi sheyr chitwan hiran ki aankh
Chalta tha dekh dekh ke shahe zaman ki aankh
Parti thi yun harif pe us sab shikan ki aankh
Larzi ho jese halq me shamshir zan ki aankh
Teghaayi jispe urh kabhi baar urhte chalgaya
Wo sar gira gayi to ye lasha uchalgaya
Ya Ali, Ya Hussain x2
Kehta tha zulfiqaar se ab meri jang dekh
Chal tere saath saath zara mera rang dekh
Is kaas mei laraayi ka mera bhi dhang dekh
Raah-e-hayaat fitron pe karta hoon tang dekh
Ya Ali, Ya Hussain x3