menu-iconlogo
logo

Kahan Ho Tum Chale Aao

logo
بول
Kahan ho tum chale aao

mohabbat ka taqaaza hai

Gham e duniya se ghabraa kar

tumhe dil ne pukaara hai

Kahan ho tum.....!

Nyyara Noor

(Shehnaaz Begum)

Tumhari berukhi ek din

humari jaan le legi

Tumhari berukhi ek din

humari jaan le legi

Qasam tumko zara socho ke

Qasam tumko zara socho ke

dastoor e wafa kya hai...

Ghum e duniya se ghabraa kar

Tumhe dil ne pukaara hei

Kahan ho tum....!

poet: Behzad Lakhnavi

Na jaane kis liye duniya

ke nazrein phir gayin hum se

Na jaane kis liye duniya

ke nazrein phir gayin hum se

Tumhe dekha, tumhe chaaha

Tumhe dekha,Tumhe chaaha

qasoor iss ke siwa kiya hai

Ghum e duniya se ghabraa kar

Tumhe dil ne pukaara hei

Kahan ho tum...!

Na hai fariyad honton pe

na aankhon main koi aansoo

Na hai fariyaad hothon pe,

na aankhon main koi aansoo

Zamaane se mila jo gham

Zamaane se mila jo gham

usey geeton main dhala hai

Ghum e duniya se ghabraa kar

Tumhe dil ne pukaara hai

Kahan ho tum chale aao

mohabbat ka taqaza hai

Gham e duniya se ghabraa kar

tumhe dil ne pukaara hai

Kahan ho tum.....!

Kahan Ho Tum Chale Aao بذریعہ Nyyara Noor - بول اور کور