Gham sabhi Rahato
Taskeen mein dhal jate hein
Gham sabhi Rahato
Taskeen mein dhal jate hein
Jab karam hota hai
Halat badal jate hein
Jab karam hota hai
Halat badal jate hein
Rakh hi lete hein bharam
Unke Karam ke sadqe
Rakh hi lete hein bharam
Unke Karam ke sadqe
Jab kisi baat pe diwane
Machal jate hein
Jab kisi baat pe diwane
Machal jate hein
Jab karam hota hai
Halat badal jate hein
Koi dekhe to zara
Unki duhaee dekar
Koi dekhe to zara
Unki duhaee dekar
Ishq Sadiq ho to
Patthar bhi pigal jate hein
Ishq Sadiq ho to
Patthar bhi pigal jate hein
Jab karam hota hai
Halat badal jate hein
Aa GIREY hein Tere qadmon
Mein ham bhi ye sun kar
Aa GIREY hein Aa GIREY hein
Aa GIREY hein Tere qadmon
Mein ham bhi ye sun kar
Jo Tere qadmon mein gir
Te hein sambhal jate hein
Jo Tere qadmon mein gir
Te hein sambhal jate hein
Jab karam hota hai
Halat badal jate hein
Aap ko Qaba-e-Maqsood
Hi mano Khalid
Aapke dar pe sab
Arman nikal jate hein
Aapke dar pe sab
Arman nikal jate hein
Jab karam hota hai
Halat badal jate hein