Fazle rabbe paak se mera farz dulha bana

Khushnuma khushrang phoolon ka hai sar sehra saja

Inki shadi khana aabadi ho rabbe Mustafa

As paye gousulwara. bhare imam Ahmad Raza
Zouja inki ya khuda Karti rahe parda sada

Rakh ilahi inki zouja ko ,hamesha ba haya

Tu sada rakhna salamat inka jhoda Ya Khuda

Koi bhi jagda na ho aapas mein ae pyaaray khuda

Inko khushiyan do jahan mein tu ata kar kibriya

In pe ranjo gham ki na chhaye kabhi kaali ghata
Aafat-e-faishan se har-dam inko tu Maula bacha

Ya Ilahi inka ghar gehwara-e-sunnat bana

Khoobsurat naik seerat ho inhain aulad ata
Aafiyat say meray moula ho inhain aulaad ata
Wasta Ya Rabb Muhammad ki Mubarak Khaak ka

Is tarha mehka kare ye ghar ka ghar sab Ya Khuda

Phool jaisa ke mahakte hein Madine ke sada
Ya Ilahi de sa’adat hajj ki inko baar baar

Baar Baar inko dikha pyaaray Muhammad ka dayar
Dulha Dulhan Aafiyat se umar bitaein daraz
Do jahan ki ne’maton se bhi inhe maula nawaz
Ya khuda farz hmara jub talak zinda rahay
Khoob khidmat sunnaton ki ya khuda krta rahay
Ye Meeyan Biwi rahen Jannat mein yakja Ae Khuda
Ya Ilahi hai yahi Attar ke dil ki dua
Ya Ilahi hai yahi Maa-Baap ke dil ki dua