Sultan e Karbala ko hamara salam ho
Sultan e Karbala ko hamara salam ho
Janan e Mustafa ko hamara salaam ho
Janan e Mustafa ko hamara salaam ho
Abbas e namdaar hain zakhmoon say choor choor
Abbas e namdaar hain zakhmoon say choor choor
Us paikar e riza ko hamara salaam ho
Us paikar e riza ko hamara salaam ho
Sultan e Karbala ko hamara salam ho
Akbar say nojwaan bhi run mein huey shahid
Akbar say nojwaan bhi run mein huey shahid
Hum shaklay Mustafa ko hamara salam hoo
Hum shaklay Mustafa ko hamara salam hoo
Sultan e Karbala ko hamara salam ho
Bhai bhateejay bhanjay sab ho gaye nisaar
Bhai bhateejay bhanjay sab ho gaye nisaar
Har lal e bay baha ko hamara salaam ho
Har lal e bay baha ko hamara salaam ho
Sultan e Karbala ko hamara salam ho
Asghar ki nanhi jaan pay lakhoon darood houn
Asghar ki nanhi jaan pay lakhoon darood houn
Mazloom o bay khata ko hamara salaam ho
Mazloom o bay khata ko hamara salaam ho
Sultan e Karbala ko hamara salam ho
Ho kar shaheed qoum ki kishti tyra gaye
Ho kar shaheed qoum ki kishti tyra gaye
Ho kar shaheed qoum ki kishti tyra gaye
Ummat kay nakhuda ko hamara salaam ho
Ummat kay nakhuda ko hamara salaam ho
Sultan e Karbala ko hamara salam ho
Sultan e Karbala ko hamara salam ho
Nasir wilaye shah mein kehta hai bar baar
Nasir wilaye shah mein kehta hai bar baar
Mehman e Karbala ko hamara salaam ho
Mehman e Karbala ko hamara salaam ho
Sultane Karbala Ko Hamara? Salam Ho!