Zahe muqaddar Huzur e haq se
Salaam aaya payam aaya
Jhuka o nazreen bicha o palkeen
Adab ka aala maqam aaya
Zahe muqaddar Huzur e haq se
Salaam aaya payam aaya
Jhuka o nazreen bicha o palkeen
adab ka aala maqam aaya
Zahe Muqaddarr
Yeh koon sarse kafan lapetey
chala hai ulfat ke rastey par
Yeh koon sarse kafan lapetey
chala hai ulfat ke rastey par
Firishtey hairat se tak rahe hain
Yeh koon Ziii Ehteram aaya
Firishtey hairat se tak rahe hain
Yeh koon Ziii Ehteram aaya
Zahe muqaddar...
Faza mein labbaik ki sadain
zi farsh taa aarsh goonjhtii hain
Faza mein labbaik ki sadain
zi farsh taa aarsh goonjhtii hain
Har eik qurban ho raha hai
zaban pe yeh kiss ka naam aaya
Har eik qurban ho raha hai
zaban pe yeh kiss ka naam aaya
Zahe muqaddar...
Yeh rahe haq hai sambhal ke chalna
yahan hai manzil qadam qadam par
Yeh rahe haq hai sambhal ke chalna
yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna Aaqa
Salaam lijiye ghulam aaya
Pohanchna dar par to kehna Aaqa
Salaam lijiye ghulam aaya
Zahe muqaddar...