Par ab aa bhi jaao na kaafi der Hui hai
Mai bhi kab tak rukunga jo tu meri nahi hai
Meri har ek khata ab Mai hu jaanta
Par jo tune Kiya jaa wo sab hi sahi hai
Chalo aao kare baatein taaro ko dekhe
Samundar kinaare ilzaamo ko feke
Tu sab jaan ke bhi ye jaana nhi ke
Hum tere hai kabse aur tere rahenge
Kyu chal raha tha kal saath jab hona aaj tha nahi
Mai bhi alag hi galeech mai aa raha baaz tha nahi
Par jab tak dost tha mai dost tha mai saanp tha nahi
Kyu mujh se suni nhi gayi jab pehli baari kaha nhi
Mere 4 bache dost aur listeners abhi 8 hai
Mere haatho me kuch dikkat likhte rehte ya kaanpte
Ye ab rukenge nhi shayad jab tak ek show ka khoka chaapte
Kabhi mid wid nhi hum pehle gaane se baap the
Aag ko chhute nhi beta bas ab dur se dhyan de
Claiming Bombays finest thoda bombay ke bahar se
Meri neend me likhi cheez inke kaano ko jhaad de
Saale jaagte rahenge soche gaya kya maar ke
Yeah I'm a great listener but when it's cole speaking though
Abhi soch faad du mai mujhe mic wic do
Ab Bass caffeine pe hi zinda par tu chai bol do
Tu Kabhi firse milne aana thoda dil wil dena todd
100 200 gaane waane likh du bass ek baar mera ho
Mujhe ye wali Sadi ka zara shakespeare bol
Mai ajeeb cheezein karne laga hu zara dekh na
Tere baare me hu likhta taaki paau tujhe chodd
Par sada rahunga kamzor uss raat ke jaisa
Jab hui aakhri baat mai paa tha saans nhi le raha
Siskiya nikal rahi thi dushman lag raha tha aaina
Tere baad mujhe me mai nahi wo tujhme hi reh gaya
Par ab aa bhi jaao na kaafi der Hui hai
Mai bhi kab tak rukunga jo tu meri nahi hai
Meri har ek khata ab Mai hu jaanta
Par jo tune kiya ja wo sab hi sahi hai
Chalo aao kare baatein taaro ko dekhe
Samundar kinaare ilzaamo ko feke
Tu sab jaan ke bhi ye jaana nhi ke
Hum tere hai kabse aur tere rahenge
Chalo ab aa hi gye ho toh kya hi ladna
Baato pe purani, chodd ye sab chalna
Kahi Shanti se baithenge akele me
Aur kya kya hua tere saath sab kuch bakna
Aur mai dekhta rhunga teri aakho ki chamak ko
Kitni khush si lag rahi hai tujhse neeche hai falak wo
Mai hi janta hu kitna tarsa hu mai iss jhalak ko
Mera pehle wala gaya mujhe aur ab dard do
Tujhe Nazar na lagg jaaye kaala dhaga bandh aana
Chand hoga tu Sundar par usse aakhe na milana
Teri ek nazar hi kaafi gar ho chup mujhe karana
Mujhe accha lagta kaafi jaana haq tujhpe Jatana
Par sada rahunga kamzor uss raat ke jaisa
Jab Hui aakhri baat mai pa tha saas nahi le raha
Siskiya nikal rahi thi dushman lag raha tha aaina
Tere baad mujhme mai nhi wo tujhme hi reh gaya