menu-iconlogo
huatong
huatong
srushti-tawde-ek-tha-kauvva-cover-image

Ek tha kauvva

Srushti Tawdehuatong
prashant_nitahuatong
بول
ریکارڈنگز
Chalo, so jao beta

Mumma, ek story sunao na, please ek story?

Kaunsi waali?

Umm, pari waali

Theek hain. Ek thha… kauva

Ek baar uss kauve ke ghar mein

Raat ka khaana banaya gaya thha

Chhoti umar se har din woh

Kauve ke haathon pakaya gaya tha

Kauve ko kabhi mila nahi credit,

Har din wo bole ki let it go

Bola forget it. Theek hain, I get it

Kuch aur khaana ho, let me know

Table pe baithe thhe saare.

Kauve bechaare ki nazrein thhi neeche aur

Aankho mein aansoon, khud pe woh kaabu

Bhi kare aur aankhein bhi meeche, aur

Jisne bhi jo bhi thha maanga, woh deta gaya

Badle me taane hee khaaye

Thakk kar saamaan uska sameta gaya

Kisi ne aansoon nahi dhaaye

Kauve ne socha kya paa raha hoon?

Main kyun inko khaana khila raha hoon?

Main har din toh gaali hee kha raha hoon

Bas, kauve ne bola, main jaa raha hoon

Kauve ke jo bhi thhe pyaare

Baith ke dekhte rahe wo saare

Mudi jo kauve ki peeth

Toh gaali dene lage, patthar maare

Dekho na, kauva akela hain

Kauve ne kya-kya nahi jhela hain

Kauve ne kya-kya nahi jhela hain

Dekho na, kauva akela hain

Dekho na, kauva akela hain

Kauve ne kya-kya nahi jhela hain

Aise hee kauvo ka mela hain

Dekho na.

Kauva jab nikla ghar se

Kap kapaaya woh darr se

Ki kisi ne usey padhaya likhaya

Bhi nahi thha chhoti umar se

Ab kya hee bechaara kare

Kaise woh yoon hee guzaara kare

Naukri mili hee nahi toh

Bhookh ko kaise nakaara kare?

Thhokar khaata yahan wahan

Thha toh woh beghar, jaata yahan wahan

Pet ki bhookh mitaane, dhoonde thikaane

Bheekh maangi thoda khaana kamaane

Par kahi pe khaana nahi mila

Khaane ka ek bhi daana nahi mila

Kahi yoon hee pyaala pada thha aur

Pyaale mein paani bhi zyada nahi mila

Kisi ko kauve pe daya nahi aayi

Kauve ki family kabhi bhi

Dhoondne usey behayaa nahi aayi

Unhone jo patthar maare thhe

Kauve ne paani ke pyaale mein daale

Paani upar aaya, pyaas ko bujhaaya

Kauva phir bola, marne de saale

Kauve ne seekha ki aise hee logo se poori duniya hain bhari

Duniya mein kahaniya chhodo toh kahi bhi ab rahi na pari

Ye kahaani sunn ke jo neend aaye toh so jaana, shh, shh.

Sab aisa hee hota hain, beta

Moral of the story

Dekho na, kauva akela hain

Kauve ne kya-kya nahi jhela hain

Kauve ne kya-kya nahi jhela hain

Dekho na, kauva akela hain

Dekho na, kauva akela hain

Kauve ne kya-kya nahi jhela hain

Aise hee kauvo ka mela hain

Dekho na

Shrishti tawde...

Srushti Tawde کے مزید گانے

تمام دیکھیںlogo

یہ بھی پسند آسکتا ہے