menu-iconlogo
logo

Ek Sitam Aur Meri Jan

logo
بول
Ek sitam Aur Meri Jan

Abhi Jan Baqi Hai

Dil me ab tak teri

ulfat ka nishan baqi hai

Ek sitam aur meri jan

Abhi Jan baqi hai

Jurm e Toheen e Muhabbat

ki saza De Mujko

Kuch to Mehroom ie ulfat

ka sila De Mujko

Jism se rooh ka rishta

nahi toota hai abhi

Hath se sabar ka Daman

nahi choota hai abhi

Abhi jaltay hue khuwabon

ka dhuan Baqi hai

EK sitam aur meri jan

Abhi jan baqi hai

Apni nafrat se mere

pyar ka daman bharde

Dil e gustakh ko mehroome

muhabbat karde

Dekh toota nahi chahat

ka haseen taj mahal

Aake bikhray nahi

mehki hui yadon kay kanwal

abhi taqdeer k gulshan

me khizan baqi hai

Ek sitam aur meri jan

abhi jan baqi hai

Ek sitam aur meri jan

abhi jan baqi hai

Ek Sitam Aur Meri Jan بذریعہ Ustad Amanat Ali Khan - بول اور کور