Akanksha sharma
.. ..
Kabhi kabhi
udne ko karta mann mera
Kabhi kabhi
bewajah hi muskurane lage
Kabhi kabhi
aainon se baatein kar raha
Kabhi kabhi
geet koyi gungunane lage
Teri chahat hai ya sohbat
Kuchh samajh na aa raha
Yeh mann banwra huye hi ja raha
Yeh mann banwra huye hi ja raha
Yeh mann banwra huye hi ja raha
.. ..
.. ..
.. ..
Sajne lagi hoon, sanwarne lagi hoon
Bina baat yoon hi hasne lagi hoon
Nahi hosh mujhko na fikar koi
Mil jaaye bas tera zikar koi
Jaane kyun aahein bharne lagi hoon
Mujhpe ab tera nasha hai chha raha
Yeh mann banwra huye hi ja raha
Yeh mann banwra huye hi ja raha
Banwra huye hi ja raha
Yeh mann banwra huye hi ja raha