menu-iconlogo
huatong
huatong
aleemrkjokhay-midnight-cover-image

Midnight

aleemrk/Jokhayhuatong
startrkjenhuatong
Lời Bài Hát
Bản Ghi
Bechaini sar mera khaati hai roz

Sukoon dhoonda nahi mila kho die hosh

Aaj mere naam pe uchaal loge keechar

Kal ko uchaalne se daroge dost

Kal ko batane se daroge sab ko ke

Mere is bande se taluq kharab

Kal ko bulandiya choo lunga itni

Kuch bolne se pehle bhi sochenge aap

Kitna bolu ke mein jee nahi paa raha

Tu khayal rakh thora haal pooch liya kar

Kitna sochu tere baare ab mein or

Meri bas hogai jaan mera toot raha sabar

Meri zindagi me log to hai kaafi

Par wo log nahi hai wo jin pe i would rely

Meri zindagi me dost to hai kaafi

Par wo dost hee nahi hai jis ko sab kuch batae

Kabhi kisi ne bhi nahi poocha mera haal

Kara ek hee sawaal ke bas gaana kab aa raha hai

Aleem jee raha hai ya mar raha hai kya fark parta hai yaar

Koi jaan'na hee nahi chah raha hai

Ek arsay se khamosh hu bolne ka man hai

Par sunne waale rehte door mujh se

Kal ko koi maar de anjaane me khud ko to

Chaukna mat hum hee majboor karte

Ajeeb si soch me dooba jaa raha

Kya karu samjh nahi aata na

Samjh nahi aata koi aa ke samjha de

Itne pyaar ke bawajood bhi wo aa ke kyun na de?

Ek arsay se mila rahe sab han me han meri

Mujhe chahiye koi aa ke meri galtiya gina de

Yaar maanta hu tumhari meri suna to karo

Itna bura bhi nahi hu itna bura na karo

Mere aas paas koi bacha nahi baat karne layak

Tum sab aas paas waalo se mil ke sulah to karo

I'm just sad these days

Koi milne na ae, mujh se dil na lagae

Why you act these days?

Mere saamne tum bol sakti ho jo man me ae

I swear me nahi judge karta khud aisa hu

Me bhi tanha teri tarah khud me khush betha hu

Me tha school ke dino me had se ziada badtameez

Phir koi dil na dukha du is liye chup rehta hu

Dil hai dukhae bare dil hai dukhae

Maafi mili hai ke nahi mujhe pata bhi nahi

Apne neeche waalo se mein tabhee jaan kar milta hu

Khushiyan baatne kee dhoondta koi waja bhi nahi

Jitna behtar kar lu khud ko saale koste rahenge

Kuch nahi hoga tujh se rok rok ke tokte rahenge

Abe duniya ka sab se acha kaam bhi kar lega

Us ke baad bhi ye bura bhala bolte rahenge

Jitna behtar kar lu khud ko tab bhi hate to milega hee

Na mumkin hai karna yaha sab ko satisfy

Insaan dhokhebaaz kabhi idhar kabhi udhar

Is se behtar hai ke karu apne rab ko satisfy

Gir ke sajde me mein

Jaagu apno ke liye un ke sapno ke liye

Ziada kehta nahi mein

Wo jaanta hai khoob me is duniya se tang

Bechaini sar mera khaati hai roz

Sukoon dhoonda nahi mila kho die hosh

Aaj mere naam pe uchaal loge keechar

Kal ko uchaalne se daroge dost

Kal ko batane se daroge sab ko ke

Mere is bande se taluq kharab

Kal ko bulandiya choo lunga itni

Kuch bolne se pehle bhi sochenge aap

Nhiều Hơn Từ aleemrk/Jokhay

Xem tất cảlogo

Bạn Có Thể Thích