Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun
Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun
Na junoon raha na pari rahi
Na toh tu raha na toh main raha
Jo rahi so be-khabari rahi
Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun
Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun
Chali samt-e-ghaib se ik hawa
Chali samt-e-ghaib se ik hawa
Ke chaman zahur ka jal gaya
Chali samt-e-ghaib se ik hawa
Ke chaman zahur ka jal gaya
Magar ek shakh-e-nihal-e-gham
Magar ek shakh-e-nihal-e-gham
Jise dil kahe so hari rahi
Na toh tu raha na toh main raha
Jo rahi so be-khabari rahi
Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun
Woh ajab ghadi thi ke jis ghadi
Woh ajab ghadi thi ke jis ghadi
Liya dars nuskha-e-ishq ka
Woh ajab ghadi thi ke jis ghadi
Liya dars nuskha-e-ishq ka
Jo kitab aql ki taaq par
Jo kitab aql ki taaq par
So vahin dhari thi ki dhari rahi
Na toh tu raha na toh main raha
Jo rahi so be-khabari rahi
Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun
Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun