Ye aankhon se aankhon ka
Milna hai kya
Bina bole honthon ka
Hilna hai kya
Mujhe inka matlab
To samjhaayie
Khayaalon mein phoolon ka
Khilna hai kya
Na yun chup raho
Mujhko aawaaz do
Mujhe ghut ke marne ki
Aadat nahin
Bataao tumhi
Batao tumhen
Pyaar kaise karoon
Batao tumhen
Pyaar kaise karoon
Mujhe pyaar karne ki
Aadat nahin
Main jaisa bhi hoon
Haan jaisa bhi hoon
Saamne hoon khada
Mujhe kuchh chhupaane ki
Aadat nahin
Batao tumhen
Pyaar kaise karoon
Mujhe pyaar karne ki
Aadat nahin
Ye aankhon se aankhon ka
Milna hai kya
Ye aankhon se aankhon ka
Milna hai kya
Bina bole honthon ka
Hilna hai kya
Mujhe inka matlab
To samjhaayie
Khayaalon mein phoolon ka
Khilna hai kya
Na yun chup raho
Mujhko aawaaz do
Na yun chup raho
Mujhko aawaaz do
Mujhe ghut ke marne ki
Aadat nahin
Mujhe itni fursat
Mili hai kahaan
Mujhe itni fursat
Mili hai kahan
Jo padhta tumhare
Nayan ki ghazal
Mujhe aaj lagta hai
Sach maan lo
Ye chehra nahin hai
Gulaabi kanwal
Ye dil kaise chori
Kiya jaayega
Ye dil kaise chori
Kiya jaayega
Mujhe dil churaane ki
Aadat nahin
Aaa aaa aaa aaaa aaaa
Aaaaa aaaaa aaaaa
Mujhe kuchh hua hai
Pata hai tumhein
Badi nam hawa hai
Pata hai tumhein
Badan jal raha hai
Ragon mein magar
Lahoo jam gaya hai
Pata hai tumhein
Lo sar jhuk gaya
Hai tumhein kya khabar
Lo sar jhuk gaya
Hai tumhein kya khabar
Mujhe sar jhukaane ki
Aadat nahin
Main jaisa bhi hoon
Haan jaisa bhi hoon
Saamne hoon khada
Mujhe kuchh chhupaane ki
Aadat nahin
Batao tumhen
Pyaar kaise karoon
Mujhe pyaar karne ki
Aadat nahin