Na raha (na raha) woh silsila (woh silsila)
Teri yaadon ka (teri yaadon ka) jo tha bewajah
Aaj bhi (aaj bhi) rota hai dil (rota hai dil)
Teri yaad mein (teri yaad mein) kyun bewajah? (Kyun bewajah?)
Manzilein (manzilein) jo ek hain (jo ek hain)
Toh saath chal (saath chal), mere saath aa (mere saath aa)
Faisla (faisla) jo tha sahi (jo tha sahi)
Phir raaste kyun hai judaa? (Kyun hai judaa?)
Jab koi khaas ban jata hai, ek ehsaas ban jata hai
Dil mein raaz ban jata hai, dil shafaq ban jata hai
Shaqas insaan ban jata hai, dil ka maan ban jata hai
Phir mukar kar woh vaadhon se anjaan ban jata hai
Jab se tu paas nahi raha, koi ehsaas nahi raha
Dil ab shafaaf nahi raha, mujhmein koi raaz nahi raha
Tu ab maan kyun nahi raha? Woh insaan nahi raha
Har shaqas mujhe jaan ke anjaan hi raha
Pehle bata deti, "Raste humare alag hain"
Jo bhi faisle huye, woh sabhi-saare galat hain
Ek hi raaste pe ho, par tum ab faasle mein ho
Achha hai faasle mein raho, mujhe padta farak hai
Tumhein chaand passand hai aur mujhe taare passand hain
Mujhe raat passand hai, tumhein ujaale passand hain
Tumhein chalna hai makhmal par shaahi libaas mein
Main banda fakeer, mujhe chhaale passand hain
Na raha (na raha) woh silsila (woh silsila)
Teri yaadon ka (teri yaadon ka) jo tha bewajah
Aaj bhi (aaj bhi) rota hai dil (rota hai dil)
Teri yaad mein (teri yaad mein) kyun bewajah? (Kyun bewajah?)
Manzilein (manzilein) jo ek hain (jo ek hain)
Toh saath chal (saath chal), mere saath aa (mere saath aa)
Faisla (faisla) jo tha sahi (jo tha sahi)
Phir raaste kyun hai judaa? (Kyun hai judaa?)
Samaate hain mujhmein khayal ab bhi tere
Jawaab ab bhi baaki sawalon ke mere
Hai teri wajah se yehi haal mera
Jab tu yaad aayi, sahaaron pe thehra
Andhera bhi mujhse hai keh raha
"Jo likhta hai tu, woh mujhse bhi gehra"
Savera hai tujhse par tu ab nahi mera
Main tera samandar aur tu thehra sehra (sehra)
Jo tu karti hai baatein, woh baatein galat (baatein galat)
Dilon ke maslon mein phasti hai zaatein galat (zaatein galat)
"Itna hi chalna hai" manzil ye meri
"Tu mudja yahan se aage hone wali raahein alag"
Tujhe khota nahi toh likhta main dard kaise? (Dard kaise?)
Taras khaate nahi toh hote humdard kaise? (Humdard kaise?)
Humdard bhi ho naam ke, tum bas apne kaam ke
Aankhein padke bataado hain yeh maraz kaise? (Maraz kaise?)
(Aankhein padke bataado hain yeh maraz kaise?)

(Hm, hm)