menu-iconlogo
logo

Finding Her

logo
Lời Bài Hát
Hm, jaana, tu aata nahin

Sapnon se jaata nahin

Mil jaaye, kya hi baat thi

Kamil ho jaata wahin

Jaana, mere sawaalon ka manzar tu

Haan, main sookha sa, saara samandar tu

Haan, gulaabi si surkhi jo dikhti thi

Phir se dikh jaaye toh jee-bhar ke saah bhar loon

Kaati kitni thi raatein, nahin soya main

Tujhko kitna bulaya, phir roya main

Teri saari woh baatein kyun sone nahin deti

Sataye mujhe, haan, phir khoya main

Tu aata nahin

Sapnon se jaata nahin

Mil jaaye, kya hi baat thi

Kamil ho jaata wahin

Jo bhi ho raaz tera

Mujhko batata nahin

Mil jaaye, kya hi baat thi

Kamil ho jaata wahin

Sambhaal ke rakha, woh phool mera tu

Meri shayari mein zaroor raha tu

Jo aankhon mein pyaari si duniya basaayi

Woh duniya bhi tha tu, woh lamha bhi tha tu

Haan, lagte hain mujhko yeh qisse sataane

Deta na dil mera tujhko bhulaane

Adhoore se waade, adhoori si raatein

Ab hisse mein dakhil meri bas woh yaadein

Rehna tha ban ke humdum tera

Aise jaana hi tha, phir tu kyun thehra?

Ab na maane mera dil ki na tere qabil

Thi ik aarzu ki main kehta raha, par

Tu aata nahin

Sapnon se jaata nahin

Mil jaaye, kya hi baat thi

Kamil ho jaata wahin

Jo bhi ho raaz tera

Mujhko batata nahin

Mil jaaye, kya hi baat thi

Kamil ho jaata wahin