menu-iconlogo
logo

Astitva

logo
Lời Bài Hát
Aadha main, par vo kehte poora insaan ban

Jab main sau dafa keh chuka ki mere andar

Sab adhoore toh vo kehte jhaank mann

Ab andera hi andera aas paas bas duur ek dikhti hai roshni

Vo ulajal bhi kal ojhal ho gaya bas mann mein bacha ab dosh hi

Zeher mann mein, asaaman kathor

Bhara hai darr zehen mein, di jaane umeeden Tod

Manushya ke astitva mein alag jaado

Hai jab bhi mann ki hatkadiyan tod na chahu

Tab mann ke moh se chhuth kar kabhi ghar naseeb nahi hua

Aaj bhi raaton ko nochta hun main

Bas farak itna hai ki pehle mere naqaab the, aaj mere sapne

Par ab khudko kosta hun mein bas farak itna

Hai ki pehle vajood tha ab mere samay ka kasoor

Akhir galti kiski?

kisko dosh dun?

Insaan ki ya samay ki?

Imaan ki ya wajah ki?

Shayad galti mere mann mein bhare akrosh

Ko di gayi galat disha ke attot bandhan ki hai

Pata nahi kuch bhi karta rehta hun

Duur bhaag nahi sakta aur paas jaake apne khudko lubha nahi sakta

Mere andar main hoon, khudse hi bana hun main

Tumhare andar tum hai? Par sawalon se ghira hun mein

Asatya ya Satya bas sab ek sach hai

Mere andar paap aur jawabon ke bina adhoora hun mein