Humko yeh batao door kaise tum rehte ho 
Kaise judayi ka gham yaara tum sehte ho 
Hum tanha mar jayenge 
Yaara teri yaad mein 
Dekho bheege hain kitna 
Ashkon ki barsaat mein 
Zakhm dikhaun kaise dil ke mere 
Logon ne kitna sataya hai 
Mujhe na aur rulana tu sawan aaya hai 
Mere dardon ko mitana tu sawan aaya hai 
Sabse chhupa ke tujhe seene se lagana hai 
Pyar mein tere hadd se ghuzar jana hai 
Itna pyar kisi pe pehli baar aaya hai 
Mohabbat barsa dena tu sawan aaya hai 
Dil yeh dhadakta hai 
Tere dil ke hi dhadakne se 
Hum bhi tadapte hain 
Yaar tere hi tadapne se 
Ishq mein dooba dooba hoon 
Mujhko na ab hosh hai 
Yaar zamin ke ishq mein 
Aasman behosh hai 
Kaise dikhaun ab junoon yeh mera 
Tere ishq mein pagal banaya hai 
Dil nahi aur dukhana tu sawan aaya hai 
Tere bhi zakhm dikhana tu sawan aaya hai 
Tumse door rehna ek saza hai, majboori hai 
Meri zindagi to yaar tere bin adhoori hai 
Log to kya kya kehte hain 
Dil seh seh ke rota hai 
Kaise tumko bataun 
Mere sath sanam kya hota hai 
Apne paraye hone lage hain 
Jabse tumko apna banaya hai 
Hamesha sath nibhana tu sawan aaya hai 
Tere aur mere milne ka mausam aaya hai