Dare nabi par para rahoon ga
pare hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri
kabhi to mera salam hoga 3
Khilafe mashooq kuch huwa hai
na koi aashiq se kaam hoga
Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil
jidhar woh aali maqam hoga 2
Dare nabi par para rahoon ga
pare hi rehne se kaam hoga
Kiye hi jaoon ga arz matlab
milega jab tak na dil ka matlab
Na shaam e matlab ki subha hogi
na yeh fasana tamam hoga 2
Dare nabi par para rahoon ga
pare hi rehne se kaam hoga
Jo dil se hai ma’il e payambar
yeh is ki pehchan hai muqarrar
Ke har dam is be nawa ke lab