Movie: CHHAYA (1961)
(M) Itna na mujhase tu pyar badha
Ke mai ek badal awara
Kaise kisi ka sahara banu
Ke mai khud beghar bechara
(F) Isliye tujhase mai pyar karu
Ke tu ek badal awara
Janam janam se hu sath tere
Hai naam mera jal ki dhara
(M) Itna na mujhse tu pyar badha
Ke mai ek badal awara
(F) Janam janam se hu sath tere
Hai naam mera jal ki dhara
Singer: Lata Mangeshkar Talat Mahmood
(M) Mujhe ek jagah aaram nahi
Ruk jana mera kam nahi
Mujhe ek jagah aaram nahi
Ruk jana mera kam nahi
Mera sath kaha tak dogi tum
Mai desh videsh ka banjara
Itna na mujhse tu pyar badha
Ke mai ek badal awara
Kaise kisi ka sahara banu
Ke mai khud beghar bechara
(F) isliye tujhse mai pyar karu
Ke tu ek badal awara
Janam janam se hu sath tere
Hai nam mera jal ki dhara
Lyricist : Rajendra Krishna,
(F) O nil gagan ke diwane
Tu pyar na mera pahachane
O nil gagan ke diwane
Tu pyar na mera pahachane
Mai tab tak sath chalun tere
Jab tak na kahe tu mai hara
Is liye tujhse mai pyar karu
Ke tu ek badal awara
Janam janam se hu sath tere
Hai nam mera jal ki dhara
(M) Itna na mujhse tu pyar badha
Ke mai ek badal awara
Kaise kisi ka sahara banu
Ke mai khud beghar bechara
Music Director : Saleel Chowdhury,
(M) Kyu pyar me tu nadan bane
Ek pagal ka arman bane
Kyu pyar me tu nadan bane
Ek pagal ka arman bane
(F) Ab laut ke jana mushkil hai
Maine chhod diya hai jag sara
(M) Itna na mujhse tu pyar badha
Ke mai ek badal awara
(F) Janam janam se hu sath tere
Hai nam mera jal ki dhara
(M) Itna na mujhse tu pyar badha
Ke mai ek badal awara
(F) Janam janam se hu sath tere
Hai nam mera jal ki dhara
B Goswami