Main akela bahut der chalta raha
Ab safar zindgani ka kat ta nahin
Jab talak koi rangin sehra na ho
Waqt kaafir jawani ka kat ta nahin
Tum agar humkadam banke chalti raho
Main zameen par sitare bichhata rahoon
Tum agar saath dene ka vada karo
Main yunhi mast nagame lutata rahoon
Tum mujhe dekh kar muskurati raho
Main tumhein dekh kar geet gata rahoon