Created by Zafar Imam ZN
Ye wada kiya tha, mohabbat karenge
Ye wada kiya tha mohabbat karenge
Sada ek duje ke dil mein rahenge
Tumhen yaad hoga, kaha tha ye tum ne
Tumhare huye hein tumhare rahenge
Ye wada kiya tha.....
INTERLUDE
Agar ho ijazat to apni zaban se mohabbat ki sabko kahani sunadun
Utha kar naqaab aaj tere hi rukh se, zamane ko teri haqeeqat batadun
Milo na milo tum, bano ajnabi tum
Tumhen raat din hum pukara karenge
Ye wada kiya tha....
INTERLUDE
Kaha tha ye maine ke daman tumhara, zamane ki khushiyon se bharta rahunga
Mohabbat ko dil se lagane ka wada, kiya tha jo mujhse tumhen yaad hoga
Zara sochiye to ye kis ne kaha tha, tumhen mar ke bhi hum pukara karenge
Ye wada kiya tha mohabbat karenge
Sada ek duje ke dil mein rahenge
Tumhen yaad hoga kaha tha ye tum ne
Tumhare huye hein tumhare rahenge
Ye wada kiya.....