Jise zindagi dhoond rahi hai,
kya ye woh maqam mera hai
Yahaan chain se bas ruk jaoon,
kyun dil ye mujhe kehta hai
Jazbaat naye se mile hai,
jaane kya asar ye hua hai
Ik aas mili phir mujhko,
jo qubool kisi ne kiya hai
Haan kisi shayar ki ghazal,
jo de rooh ko sukoon ke pal
Koyi mujhko yun mila hai,
jaise banjare ko ghar
Naye mausam ki sehar,
ya sard mein dopahar
Koyi mujhko yun mila hai,
jaise banjare ko ghar
Hmmmmmm mmm mmmm ...hmmm mmmm
Jaise koi kinara, deta ho sahara,
mujhe woh mila, kisi mod par
Koi raat ka taara, karta ho ujala,
waise hi roshan kare, woh shehar
Dard mere woh bhula hi gaya
kuch aisa asar huwa,
Jeena mujhe phirse woh sikha raha
Hmm jaise baarish kar de tar
ya marham dard par
Koi mujhko yun mila hai,
jaise banjare ko ghar
Naye mausam ki sehar,
ya sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai,
jaise banjare ko ghar
Muskaata ye chehra, deta hai jo pehra
Jaane chupata kya dil ka samundar
Auron ko toh har dum, saaya deta hai,
Woh dhoop mein hai khada khud magar
Chot lagi hai usey phir kyun
mehsoos mujhe ho raha
Dil tu bata de kya hai iraada tera
Hmm… main parinda be sabar,
tha udaa jo dar ba dar
Koi mujhko yun mila hai
jaise banjare ko ghar
Naye mausam ki sehar
ya sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai,
jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar,
jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar