Kabhi Na Kabhi
Kahin Na Kahin,
Koi Na Koi to Aayega
Kabhi Na Kabhi
Kahin Na Kahin,
Koi Na Koi to Aayega
Apna Mujhe Banayega,
Dil mein mujhe basaayega,
Kabhi Na Kabhi
Kahin Na Kahin,
Koi Na Koi to Aayega
Kabse tanha ghoom raha hoon
Duniya ke veeraane mein
Khaali jaam liye baitha hoon
Kabse is maikhaane mein
Koi to höga mera saaqi
koi to pyaas bujhayega,
Kabhi Na Kabhi
Kahin Na Kahin,
Koi Na Koi to Aayega
Kisi ne mera dil na dekha
Na dil ka paighaam suna
Mujhko bas awaara samjha
Jis ne mera naam suna
Ab tak to sab ne thukraaya
koi to paas bithaayega
Kabhi Na Kabhi
Kahin Na Kahin,
Koi Na Koi to Aayega
Kabhi to dega sannaate mein
Pyar bhari awaz koi
Kaun ye jane kab miljaaye
Raste mein humraaz koi
Mere dil ka dard samajh kar
Do aasu to bahaayega
Kabhi Na Kabhi
Kahin Na Kahin,
Koi Na Koi to Aayega
Apna Mujhe Banayega,
Dil mein mujhe basaayega,
Kabhi Na Kabhi
Kahin Na Kahin,
Koi Na Koi to Aayega
Ek thumbs up ho jaaye?