Aap ki Parchhaiyan
Mohd Rafi
Madan Mohan
Yehi hai tamanna,Tere dar ke saamne
Meri jaan jaaye, Meri jaan jaaye
Haaye.e.e..
Yehi hai tamanna, Tere dar ke saamne
Meri jaan jaaye, Meri jaan jaaye
Haaye.e.e..
Tere dar pe aaya to, Bas aaa gayaa main
Na pichhe hatunga, Zamaane ke darr se
Abhi aaa raha hun, Abhi kaise jaaun
Milaa kya hai mujhko, Abhi tere dar se
Zara dekh lu main, yeh rukh ki bahaaren
Yeh qadd pyara pyara,yeh Zulfon ke saaye
Haaye.e.e..
Yehi hai tamanna, Tere dar ke saamne
Meri jaan jaaye, Meri jaan jaaye
Haaye.e.e..
Mohabbat mein teri, Agar maut aaaye
Toh woh maut kitni, Haseen maut hogi
Kisi roz main tera, daaman pakadkar
Jo mar jaaun kyaa, Dil-nasheen maut hogi
Agar koi aisi, Ghadi aaa rahi hai
Toh meri duaa hai, Woh jaldi se aaye
Haaye.e.e..
Yehi hai tamanna, Tere dar ke saamne
Meri jaan jaaye, Meri jaan jaaye
Haaye.e.e..