mili hawaon mein udne ki
wo saza yaaro
mili hawaon mein udne ki
wo saza yaaro
ke main zameen ke rishton se
kat gaya yaaro
mili hawaon mein udne ki
wo saza yaaro
woh bekhayal musafir...main raasta yaaro
woh bekhayal musafir...main raasta yaaro
kahan tha bas mein mere usko rokna yaaro
kahan tha bas mein mere usko rokna yaaro
kahan tha bas mein mere usko rokna yaaro
mere kalam pe zamane ki gard aisi thi
mere kalam pe zamane ki gard aisi thi
ke apne baare mein kuch bhi na
likh saka yaaro
ke apne baare mein kuch bhi na
likh saka yaaro
ke main zameen ke rishton se
kat gaya yaaro
mili hawaon mein udne ki wo saza yaaro
tamaam sheher hi jiski
talaash mein gum tha
tamaam sheher hi jiski
talaash mein gum tha
main uske ghar ka pata kisse
poochta yaaro
main uske ghar ka pata kisse
poochta yaaro
ke main zameen ke rishton se
kat gaya yaaro
mili hawaon mein udne ki
wo saza yaaro