Dil ye ravaana hai ishq-e-safar mein
Jabse mili hai ye tujhse nazar
Bahne laga hoon main teri lahar mein
Kinaaron ki mujhko nahin hai fikar
Itna tu khaas hai
Door rahke bhi tu paas hai
Bin tere, tu bata, main hoon kya?
O mere ham-nava
Ishq tu, rab hai gavaah
Dil ye ravaana hai ishq-e-safar mein
Jabse mili hai ye tujhse nazar
Bahne laga hoon main teri lahar mein
Kinaaron ki mujhko nahin hai fikar
Jaadu jaisa hai yeh pal
Ik sur mein teri-meri saans tham gayi
Tujh mein nazar aa rahi hai
Jo bhi manzilein hain ishq ke safar ki
Na jaane, dil, hoga kyaa aage
Ye dhadkan dil se tez bhaage
Tu aake ise thaam le baanhon mein
Na hai ab kahin pe jaana
Ki tu hi rahe saamne mere
Ki main bhi rahoon ru-ba-ru tere
Hai maine tujhe paa liya
Paa ke tujhe ab kuch nahin hai paana
Chaahe ye jahaan
Chaahe wo khuda
Kar na sakega hamein to juda, haan
O mere ham-nava
Ishq tu, rab hai gavaah