sometimes, just talking doesn't make the pain go
tu hi aag ti hi us pe parti barish
main wo khali haveli jis ki tu akeli varis
tu hi chaon, tu hi dhoop
rangon k saath roop
tu jitni khubsurat us se kahin ziada door
main likhna choor dun jo tere baarey
main qalam tor dun or tu siyahi main basa rey
hansa rahey zamaney ko khud se pareshan
wo parhti thi kitaben
main parhta hun insaan
insaan bhi kia cheez hai
ek main wafa nahi or doosrey ko wafa ki umeed hai
insaan bhi kia cheez hai
main kal guzra phir udhar se tou yaad agi cheez ek
tera number nahi hai
you left the city and you're gone
baat karney ko hai bs yeh microphone
wohi khaghaz wohi qalam
lehjay sakht dil naram
badbakht bs karo
udaasi har taraf
jhootey tere bharam
kis baat pe tu barham
pr hum q?
abhi stuck like jam on a one way but someday tu samajh jaye gi door ho k hum se k hum main wo qaraar nai
pehley wali baat nai
tujhey kia azaad ya di hai khud ko saza
lekin dil k muhallay me ab tera maqaan nai
[chorus]