menu-iconlogo
logo

sabr (draft 2)

logo
Lời Bài Hát
Khwabon ke panno pe likh doon mai

Meri yaadon mein tera hi ghar hai

Aankhein band kar dikhti mujhe tu

Aankhein kholi toh tera sabr hai

Likhne ko kya bacha

Yeh kalam bhi hai mujhse khafa

Kyunki likh raha tha mai sabko

Tere siwa

Meri wajah

Bann ab tu yeh

Karde apne mann ko bayaan

Kyunki sunne tujhe rahunga

Yahin pe khada

Khwabon ke panno pe likh doon mai

Teri yaadon mein tera hi ghar hai

Aankhein band kar dikhti mujhe tu

Aankhein kholi toh tera sabr hai

Bhaagta rehta mai khud se door ab

Paas jab mere, tu mujhe mehsoos kar

Iss bheed mein gum jo meri awaaz

Usse tu dhoondh ab

Pehli baar mehsoos hua

Kisi ka raaz nahi mai

Insaan hoon mai par

Sirf kisi ka ehsaas nahi mai

Mere jazbaat mein ek sach

Jo usko bardaasht nahi hai

Kisne kahaa

Sach kehkar zindagi

Aasaan rahi hai?

Khwabon ke panno pe likh doon mai

Meri yaadon mein tera hi ghar hai

Aankhein band kar dikhti mujhe tu

Aankhein kholi toh tera sabr hai

Likhne ko kya bacha

Yeh kalam bhi hai mujhse khafa

Kyunki likh raha tha mai sabko

Tere siwa

Aankhein kholi toh tera sabr hai

Mujhe milne tum aaye kal raat

Kahaa toh kuch kam par samjhe jazbaat

Khwabon ke panno pe likh doon mai

Meri yaadon mein tera hi ghar hai

Aankhein band kar dikhti mujhe tu

Khwabon ke panno pe likh doon mai

Meri yaadon mein tera hi ghar hai

Aankhein band kar dikhti mujhe tu

Aankhein kholi toh tera sabr hai

sabr (draft 2) của Sommaiya Angrish - Lời bài hát & Các bản Cover