Mai likhna chahta khudko chitthi ek
Par abtak khudka koi pata nahi
Aati sharam jab bhi aati mujhe apni umar yaad
Lagta zindagi me maine ab tak kuch kara nahi
Itne saalo me, ek din bhi nahi yaad jab mai dara nahi
Aur mere andar, ek nahi awaaz jis se mai lada nahi
Jaha lade itne jung, hu mai abtak khada vahi
Bas ab zyada kuch hai bacha nahi
Apne khayalo ka hi banta hai pahad jiske peeche mai chupu
Zimmedariyo ka chatta, jiske neeche mai ruku
Upar beete waqt ka banta baadal jaha se barse baate
Jab vo tapke is zameen pe muskara ke mai sunu
Kyu jeeta kal me mai?
Aage ki soch ke hum thakte hai
Bure sapno ko hum rakhte hai
Sune kam soche zyada
Khudko itni gaaliyan hum bakte hai
Aur yehi dikkat to hum sab me hai
Mai chupta jau
Aur agar dhoodh nikale tu mujhe galti se
To tujhe bhi chhupna hi sikhau
Karne wale kar ke nikal jaate, mai unpe daalu dosh
Vo dosh banta hai bahana jo mai khudko hi sunau
Hum dono ke haqiqat me bas thoda sa faraq hai
Aur vo faraq ko in gaano me likhta hu
Use sunata jab mai apna ye nazariya dunia pe
Vo has ke kehti ki mai usko bas sapne hi dikhau
Mai logo ko hu karta khush na rakhta khush
Isi aadat se mai jaana chahta chhup
Maine dekha uske aankho me marta hua pyaar
Jab mai poochta kaisa tha din, vo rehne lagi chup
Manai sath diwali par ye pyaar gaya bhuj
Dono ke kandhe girte to na baat paaye dukh
Ab vo rukti sirf ek raat vo na saath laayi kuch
Mai karne wala sab kuch theek bas tu thodi der aur ruk
Thodi si jagah de
Hum milne wale wapis usi jagah pe
Jaha pe humne kiya tha waada
Ki hum na banne wale apne maa baap ke jaise
Par hum to nikle unke tarah hi
Lade zyada, kare kam
Ye ghaav gehre to hum bahe zyada kate kam
Ek hi umeed ki hum dono dare kam
Wish you the best, tu bas badte chal