menu-iconlogo
huatong
huatong
vivek-naari-cover-image

Naari

vivekhuatong
pandabug_1997huatong
Lời Bài Hát
Bản Ghi
Kabhi shayar ki me gazal

Kabhi mamta ki me leher

Kabhi pooja ki me vajah

Kabhi rakhi ki me qadar

Hayee phir jhuthi bewafa har baar hi me niklu

Aawari baazaru ka taaj bhi me pehnu

Ab haari ve bandeya soch badal bechari

Karle meri bhi qadar haari

Ik jesi hoti nahi har naari

Karle meri bhi qadar

Mitra me pratibha hu aakash si kalpana hu me

Hawa se tezz maa hu ghar ki disha

Kahi baabul ki aan hu

Kahi sakhiyon ki jaan hu

Kahi dhulo ki prerna

Kahi apno ka maan hu

Hayee jhuthi bewafa har baar hi me niklu

Aawari baazaru ka taaj bhi me pehnu

Ab haari ve bandeya soch badal bechari

Karle meri bhi qadar haari

Ik jesi hoti nahi har naari

Karle meri bhi qadar

Meri koshish hai ke iss gaane se me aaplogo ki soch badal saku

Jo sochte hai ke harr ladki ek jesi hoti hai

Sunn dhyaan se

Ye gaana dedicated hai har uss naari ko

Athanirbhar jo mehnat ka khaari ho

Padhi likhi ho chahe safai karamchari ho

Doctor ho leader ho duniya chalari ho

Maa behen beti biwi

Vo sabki saheli

Salute karta hu tere jazbe ko

Tereko rok nahi sake koi tham nahi sake

Aisa koi naa pahad jise tu laang nahi sake

Phir kyu kuch log teri qadar na kare

Tera character ko kapdo se judge kare

Sabhi ek si na hoti inhe samjh ni aati

Choti soch vale bhai saari club me nahi jaati

Ab haari ve bandeya soch badal bechari

Karle meri bhi qadar haari

Ik jesi hoti nahi har naari

Karle meri bhi qadar

Nhiều Hơn Từ vivek

Xem tất cảlogo

Bạn Có Thể Thích