Bhapp
Jab kehti hai tu
Meri bachkani baaton pe
Bhapp
Dhapp
Gir jaata hai dil
Ho jaata hai ye thodi der
Thapp
Maathe se bindi ka nukta jo utaaroon
Aur laga doon tere rukhsaar pe
Harfon ka guchha hai baalon mein
Jo kholoon
Lafz lagte hain ye Gulzar ke
Yun likhta padhta hoon
Chehra khilta hai
Aur badle mein mujhko milta hai
Bhapp
Jab bhi milta hai
Bosa lagta hai tera ye
Bhapp
Dhapp
Gir jaata hai dil
Jo jaata hai ye thodi der
Bhapp