Husn jab jab ishk se takra gaya
Saari duniya par nasha sa chha gaya...
Husn jab jab ishk se takra gaya
Saari duniya par nasha sa chha gaya
Jab kabhi paigame ulfat aa gaya
Saari duniya par nasha sa chha gaya
Husn jab jab ishk se takra gaya
Pyar kehte hain jise
Hai konse jaadu ka naam
Pyar kahte hain jise
Hai konse jaadu ka naam
Aankh karti hai ishara
Dil ka ho jaata hai kaam
Muskura kar chot jab dil kha gaya
Saari duniya par nasha sa chha gaya
Husn jab jab ishk se, takra gaya
Iss mohabbat ko tadap samjhen
Yaa betabi kahen
Iss mohabbat ko tadap samjhen
Yaa betabi kahen
Bekarari din ki ya raaton ki betabi kahe
Raaz ye jis din samajh mein aa gaya
Saari duniya par nasha sa chha gaya
Husn jab jab ishk se takra gaya
Saari duniya par nasha sa chha gaya
Husn jab jab ishk se takra gaya