Maqtool jigar (ya baba) 
Qaatil hai nazar (ya baba) 
Ik mehjabin (ya baba) 
Ik noor e nabi (ya baba) 
Rab ki rubaai (ya baba) 
Ya hai tabaahi (ya baba) 
Gardan surahi (ya baba) 
Boli ilaahi (ya baba) 
Afghan Jalebi 
Mashooq farebi 
Ghayal hai tera deewana 
bhai wah, bhai wah 
Bandook dikha ke kya pyar karegi 
Chehra bhi kabhi dikhana 
bhai wah, bhai wah 
Afghan Jalebi 
Mashooq farebi 
Ghayal hai tera deewana 
bhai wah, bhai wah 
Bandook dikha dikha ke kya pyar karegi 
Chehra bhi kabhi dikhana 
bhai wah bhai wah 
O.. dekh darazi (wallah) 
Banda namazi (wallah) 
Khel ke baazi (wallah) Khamakha 
Ab thehra na kisi kaam 
ka (wallah, wallah..) 
Mir ka koi (wallah) 
Sher suna ke (wallah) 
Ghoont laga ke (wallah) jaam ka 
Main raha khan mehaz naam ka 
Oye lakht e jigar (ya baba) 
Oye noor e nazar (ya baba) 
Ek teer hai tu (ya baba) 
Main chaak jigar (ya baba) 
Bandon se nahin to Allah se daregi 
Waada to kabhi nibhana 
bhai wah, bhai wah 
Bandook dikha dikha ke kya pyar karegi 
Chehra bhi kabhi dikhana bhai wah 
bhai wah bhai wah bhai 
Khwaja ji ki paas teri chugli karunga 
Main teri chugli karunga 
Haan teri chugli karunga 
Angoothi mein qaid teri ungli karunga 
Main teri chugli karunga 
Haan teri chugli karunga ( 2) 
Gul e gulzar (ya baba) 
Mere sarkar (ya baba) 
Bade mansoob (ya baba) 
Tere rukhsaar (ya baba) 
Haaye shamsheer nigaahein 
Chaabuk si adaayein 
Nacheez pe na chalana bhai wah, bhai wah 
Bandook dikha dikha ke kya pyar karegi 
Chehra bhi kabhi dikhana 
bhai wah, bhai wah..