Zindagi is tarah se lagne lagi
Rang ud jaaye jo deewaaron se
Ab chhupaane ko apna kuch na raha
Zakhm dikhne lage dararo se
music
Ab talak sirf tujhko dekha tha
Aaj tu kya hai yeh bhi jaan liya
Aaj jab gaur se tujhe dekha
Hum galat the kahin ye maan liya
Hum galat the kahin ye maan liya
Teri har bhul mein kahi shayad
Hum bhi shamil hain gunaah gaaro se
Ab chhupaane ko apna kuch na raha
Zakhm dikhne lage dararo se
music
Aa mere saath milke hum phir se
Apne khwabo ka ghar banate hai
Jo bhi bikhara hai woh sametate hai
Dhundh kar phir khushi ko laate hai
Dhundh kar phir khushi ko laate hai
Bojh toh zindagi ka kat’ta hai
Ek duje ke hi sahaaro se
Zindagi is tarah se lagne lagi
Rang ud jaaye jo deewaaron se
Ab chhupaane ko apna kuch na raha
Zakhm dikhne lage dararo se