aaaaaaaaaaaaa............
Aap ki nazron ne samjha
pyaar ke kaabil mujhe
Dil ki ae dhadkan thaher
jaa, mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha
Ji hamein manzoor hai
aap ka yeh faisla
Ji hamein manzoor hai
aap ka yeh faisla
Keh rahi hai har nazar
banda parvar shukriya
Hanske apni zindagi mein
kar liya shaamil mujhe
Dil ki ae dhadkan thaher
jaa, mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha
Aap ki manzil hoon main,
meri manzil aap hai
Aap ki manzil hoon main,
meri manzil aap hai
Kyoon main toofaan se
darroon, mera saahil aap hai
Koi toofaanon se keh de,
mil gaya saahil mujhe
Dil ki ae dhadkan thaher
jaa, mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha
Pad gayi dil par mere
aap ki parchhaaiyaan
Pad gayi dil par mere
aap ki parchhaaiyaan
Har taraf bajne lagi
saenkdon shehnaaiyaan
Do jahaan ki aaj khushiyaan
ho gayi haasil mujhe
Aap ki nazron ne samjha
pyaar ke kaabil mujhe
Aap ki nazron ne samjha