Vande mataram vande mataram
Vande mataram vande mataram
Gaurav ki gathao ki ab aage suno kahani
Kaise the jawan hamare kaise the wo shilani
Gaurav ki gathao ki ab aage suno kahani
Kaise the jawan hamare kaise the wo shilani
Vande mataram vande mataram
Koi maa ka ladla beta bahno ka akela bhai
Jab maut ne gale lagaya hichki bhi use kab aayi
Chhinenge hamari dharti bachon jaisi nadani
Kaise the jawan hamare kaise the wo shilani
Vande mataram vande mataram
Vande mataram vande mataram
Barud bhara sine me aur sar pe kafan bandha tha
Bete ko mila ek din jo wo bap ka hi kandha tha
Jab khun se laal hua to roya ganga ka pani
Kaise the jawan hamare kaise the wo shilani
Vande mataram vande mataram
Vande mataram vande mataram
Lashon se kata himalay
Thi desh prem ki aandhi
Tab haath me lathi lekar
Chal pada akela gandhi
Jo bhagt singh ko janmi
Hai dhanya wo bharat mata
Sukhdev chadha suli par
Aur rastra geet hai gata
Loha lene nikli jo wo thi jhasi ki rani
Kaise the jawan hamare kaise the wo shilani
Gaurav ki gathao ki ab aage suno kahani
Kaise the jawan hamare kaise the wo shilani
Jay hind jay hind ki sena
Jay hind jay hind ki sena
Jay hind jay hind jay hind