Meri befikri ki fikar tu
Meri saanson ka hai zikar tu
Hum humqadam se hamraah hue
Ab hamraah se hamnava hue
Raahon pe teri main jaaun bikhar
Agar saath mere tu hai humsafar
Main na ye sochun hai jaana kidhar
Agar saath mere tu hai humsafar
Tere hawaale hona hai maine
Ye aashiqana ishaara hua
Chupke se teri tamanna jagi
Chupke se ye dil aawaara hua
Berang hai wo jeena yahan pe kisi ka
Agar na sahaara hua
Raahon pe teri main jaaun bikhar
Agar saath mere tu hai humsafar
Main na ye sochun hai jaana kidhar
Agar saath mere tu hai humsafar
Vaada ho, sheesha ho, dhaaga ho, saansein ho
Tute bina wo yu kab tak reh lenge?
Feeke ujaalon ke, khwaabon-khayaalon ke
Jhoothe khilono se kab tak behlenge?
Kaise zakhmon ko bata
Marham ka milta achaanak pata
Ye maan le, chahat duniya mein sabse
Behtar marham hai, yaara
Haan, raahon pe teri main jaaun bikhar
Agar saath mere tu hai humsafar
Main na ye sochun hai jaana kidhar
Agar saath mere tu hai humsafar
Baaki abhi hai safar, humsafar
Zara der tu saath chal de agar, humsafar