menu-iconlogo
logo

Shiddat Title Track

logo
歌词
Tujhko bana dun main apna khuda

Aur sajde tere kar sakun,

Maangu dua sath hone ki tere

Kaandhe pe sar rakh sakun

Dhaga ik bandhu tujhko mannat bana lun

Kagaz pe dil ke teri soorat bana lun

Choote kabhi na wo aadat bana lun

Aa shiddat bana lun tujhe

Kismat bana lun , meri chahat bana lun

Dil se main mangu , main ibaadat bana lun

Choote kabhi na , wo aadat bana lun

Aa shiddat bana lun tujhe ..

Kismat bana lun , meri chahat bana lun

Dil se main mangu , main ibaadat bana lun

Choote kabhi na , wo aadat bana lun

Aa shiddat bana lun tujhe

Kyun ye hudein hain ,

Ye Kyun sarhadein hain

Itne hain kyun faasle

Manzil teri meri jab ek hai to

Kyun hain alag raaste

Ishq ki aisi kahawat bana lun

Paani pe likh dun , likhawat bana lun

Goonje sada wo aahat bana lun

Aa shiddat bana lun tujhe

Dil ki main tujhko sajawat bana lun

Kuch bhi na bolun muskurahat bana lun

Barse khuda ki wo barkat bana lun

Aa shiddat bana lun tujhe

Kismat bana lun , meri chahat bana lun

Dil se main mangu , main ibaadat bana lun

Choote kabhi na , wo aadat bana lun

Aa shiddat bana lun tujhe .

Ye khara samandar mera gawah hai

Ishq hai mera ya mera gunaah hai

Tujhko sazaa aur adaalat bana lun

Aa shiddat bana lun tujhe