Abbas naam hai mera abbas naam hai
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Manga hai rab se malik-e-konain ne mujhe
Baita kaha hai madar-e-hassnain ne mujhe
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Asma-e-panjtan ka assasa hai mera naam
Ilfaz hain tawaf mein kaba hai mera naam
Israr our romooz ki dunya hai mera naam
Khud mustufa saw ki beti sa ne rakha hai mera naam
Be ja nahi hai harf koi mere naam mein
Simti hoi hai nad-e-ali mere naam mein
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Tauheed ko hai naaz khuday-e-wafa hoon main
Mushkil kusha ka lal hoon mushkil kusha hoon main
Barson jabeen-e-shair-e-khuda mein raha hoon main
Dohraya jab ali ko khuda ne bana hoon main
Khilqat mein meri dakhal nahi mao teen ko
Tohfa hoon main batool ka ummal baneen ko
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Qehar-e-khuda ki bolti tasveer meri taig
Rohon pe maut karti hai tehreer meri taig
Taigon mein misal-e-aya-e-tatheer meri taig
Tofan-e-nooh khuwab hai tabeer meri taig
Ismat ki pehre daar hai tatheer ki qasam
Yeh choti zulfiqar hai shabir ki qasam
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Talwar meri jaye gi ran mein jidhar jidhar
Barish wahan pe ho gi saron ki sarar sarar
Ashal ke paon peesein gaye tum ko karar karar
Dekhe gi maut khud yeh nazare tukar tukar
San san ki saat aisi samaat pe chaye gi
Dar dar girein gaye dhar na sada tum ko aye gi
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Main chahta hun kuwate bazu pe jung ho
Dekhun to tum ko kitne bahadur ho shamion la
Manzoor yeh nahi hai to khud faisla karo
Dikhalau mojuzat mai apne jot um kaho
Daria pe hath dhoenge abhi tum hayat se
Apne saron ko katonge khud apne hath se
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Mashoor hai yeh baat khuda ki khudaie mein
Mahir hai meri teg safon ki safi mein
Tum kya main do jaan dubo du tarai mein
Dast e khuda ka zor hai meri kalai mein
Chahu to baithe baithe mein ashal ki zeen par
Lehra ke aasman ko ulat do zameen par
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Aalam tha terah saal mein aaisa jalal ka
Siffeen mein badal diya naqsha jidal ka
Ab to shabab aaya hai mere qamal ka
Abbas as aaj ho gaya battes saal ka
Abbas as aaj ho gaya battes saal ka
Sunlo qaza ke ghat utarunga main tumhe
Ghera hai tumne gher ke marunga main tumhein
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Dunia na samjhi meer taqallaum yeh falsafa
Parcham hai surkh gumbad e ibne batool sa ka
Yani ruki nahi hai abhi jung e karbala
Aur aa rahi hai rauzae abbas as as se sada
Rokenga mujhe tub na nawasa rasool saw ka
Mehndi atfs ke sath lunga main badla batool sa ka
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Abbas naam hai mera abbas naam hai
Abbas naam hai mera abbas naam hai