Maata jinko yaad kare wo
Log nirale hote hai
Maata jinka naam pukare
Kismatwaale hote haiI
Ho chalo bulawa aaya hai
Ho chalo bulawa aaya hai
Maata ne bulaya hai
Chalo bulawa aaya hai
Maata ne bulaya hai
Ho ounchhe parvat pe
Raani maa ne darbar lagaya hai
Jai maata dee
Saare jag mein, ek thikanaa
Saare gham ke maro kaa
Ho... rasta dekh rahi hai maata
Apani aankh ke taaron kaa
Ho... mast hawao kaa
Ek jhonka ye sandesa, laya hai
Chalo bulawa aaya hai
Maata ne bulaya hai
Jai maata dee
Kehte jao
Jai maata dee
Jai maata dee
Jai maata dee kehte jao
Aane jaane waalo ko
Chalte jao tum mat dekho
Apne paaw ke chhalo ko
Ho... jisne jitna dard saha
Hai utna chain bhi paaya haiI
Chalo bulawa aaya hai
Maata ne bulaya hai
Vaishno devi ke mandir mein
Vaishno devi ke mandir mein
Log muraadein paate hain
Woh rote rote aate hain
Hanste hanste jaate hain
Ho... main bhi mang ke dekhu
Jisne jo manga woh paya haiI
Chalo bulawa aaya hai
Maata ne bulaya hai
Main bhi to ek maa hoon maata
Maa hee maa ko pehchaane
Main bhi to ek maa hoon maata
Maa hee maa ko pehchaane
Bete kaa dukh kya hota hai
Aur koyi ye kya janey
Ho... usaka khoon main dekhu kaise
Jisko doodh pilaya hai
Chalo bulawa aaya hai
Maata ne bulaya hai
Ho chalo bulawa aaya hai
Maata ne bulaya hai
Ho chalo bulawa aaya hai
Ho chalo bulawa aaya hai
Chaloo... bulawaaaa aaya haiii
Maata ne.... bulaya hai
Ho prem se bolo
Ho saare bolo
Ho jai mata dee
Vaishno raani
Ham pe kalyani
Maa bholi bhali
Maa shero wali
Jholi bhar deti
Sankat har leti
Jai maaataa dee........
JaiI maaataa..... dee.....
Jaiiiii..... maaataa .....dee.....