Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai
Tai kar raha hai jo tu do din ka yeh safar hai
Duniya ke aye musafir
Jab se bani hai duniya laakho kroodo aaye
Baaki raha na koi mitti me sab samaye
Iss baat ko na bhulo sabka yahi hashar hai
Duniya ke aye musafir
Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai
Tai kar raha hai jo tu do din ka yeh safar hai
Duniya ke aye musafir
Ye aalishan bangle kisi kaam ke nahi hai
Mahalo me sone wale mitti me so rahe hai
Do gaz zami ka tukda chota sa tera ghar hai
Duniya ke aye musafir
Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai
Tai kar raha hai jo tu do din ka yeh safar hai
Duniya ke aye musafir
Aankho se tune apni dekhe kai janaze
Haatho se tune apne dafnaye kitne murde
Anjam se tu apne kyu itna bekhabar hai