Bhagwat geeta, adhyay do sankhya yoga
Jay Shree Krishna, doston
Jeevan to sab jeete hain
Lekin isko jeene ka sahi salika kitno ko aata hain?
Yahi dhyey hai humaare iss geeta ka
Main Shailendra Bharti
Bhagwan Shree Krishna ko pranaam karte hue
Apna karm shuru karta hoon
Jara dhyan se suniyega
Pahle adhyay mein aapne Arjun ka vishad
Uska dukh, uski duwidha jaani
Ab Shree krishna uska uttar denge
Aur iss adhyay ka naam hai "sankhya yoga"
Issmein Arjun ki kaayarta
Tatha uske bhram ko lekar vishleshan hai
Uska analysis hai, doston
Yahan se shuruwat hoti hai uss gyan ki
Jiske liye bhagwat geeta
Duniya ka sabse mahaantam granth
Aur gyan ka bhandaar mana jata hai