Hum tere pyaar mein sara
Aalam kho baithe hain,
Kho baithe
Tum kahte ho ke aise
Pyaar ko bhool jaao,
Bhool jaao
Hum tere pyaar mein sara
Aalam kho baithe hain,
Kho baithe
Tum kahte ho ke aise
Pyaar ko bhool jaao,
Bhool jaao
Hum tere pyaar mein sara aalam
Panchhi se chhudakar uska ghar,
Tum apne ghar par le aaye
Yeh pyaar ka pinjara mann bhaaya,
Hum ji bhar bhar kar musakaye
Jab pyaar hua is pinjare se,
Tum kahne lage aazaad raho
Hum kaise bhulayeh pyaar tera,
Tum apni jubaan se yeh naa kaho
Ab tumsa jahaan mein koi nahi hai,
Hum toh tumhare ho baithe
Tum kahte ho ke aise
Pyaar ko bhool jaao,
Bhool jaao
Hum tere pyaar mein sara aalam
Is teri charan ki dhool se hum ne
Apni jiwan maang bhari
Jab hi toh suhaagan kahlaayi,
Duniya ki nazar mein pyaar bani
Tum pyaar ki sundar moorat ho,
Aur pyaar hamari puja hai
Ab in charno mein dam nikle,
Bas itni aur tamanna hai
Hum pyaar ke gangaajal se balam ji
Tan mann apna dho baithe
Tum kahte ho ke aise
Pyaar ko bhool jaao,
Bhool jaao
Hum tere pyaar mein sara aalam
Sapno ka darpan dekha tha,
Sapno kaa darpan tod diya
Yeh pyaar ka aanchal humne toh
Daaman se tumhare baandh liya
Yeh aisi gaanth hain ulfat ki,
Jisko naa koi bhi khol saka
Tum aan base jab is dil me,
Dil fir toh kahi naa dol saka
O pyaar ke saagar hum teri
Laharo mein naaw dubo baithe
Tum kahte ho ke aise
Pyaar ko bhool jaao,
Bhool jaao
Hum tere pyaar mein sara
Aalam kho baithe hain,